Friday, May 25, 2007

Great Shayari Part - 2

Kisi ko apna banane me der lagti hai,
Ek wada nibhane me der lagti hai,
Pyar to pal bhar me ho jata hai yaaron,
Magar unhe bhulane me ek umar lagti hai....


Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
Yaad unhe din rat kiya karte the,
Ab un raho se guzra nahi jata,
Jahan baith kar unka intezaar kiya karte the.!


Gam-e-ulfat main hum had se gujar gaye,
Ki unke ishq mein hum deewane ban gaye,
Humne to sunai thi apni daastain-e-dil unko,
Wo jalim samjhe gazal aur wah wah kar gaye,


Unki julfo ke saaye hum zamana bhula dete hain,
Wo ek nazar se kitne armaan jaga dete hain,
Ishq to unko bhi hai humse ye jaante hai hum,
Phir bhi na keh kar kyoin vo iss dil ko saza dete hain


Muskan tere Hoton Se Kabhi Jaaye na,
Aansun tere Palkon Pe Kabhi Aaye na,
Poora Ho tera Har Khwab ye dua hai meri,
Aur Jo Poora na Ho Woh Khwab Kabhi Aaye Na

Contributed by
Hassan Ali
(Hydrabad)